Monday, 9 December 2013

Bas Itni se Kahani thi Meri

Tried something in Hinglish 

Bas itni se kahani thi meri...

Aaj phir ghar k khidki pe baith k barish ko dekh rha tha.. woh tip-tip kar k girti bunde.Kuch bol rahi thi. Kuch yaad dila rahi thi.

Shayad main kch yaad karna chahta tha. Woh bachpan k baatein. Jab dil tutata bhi tha to mummy k ice cream naa dilane pe. Jab barish mein maa pakodiyan aur bournvita deti thi. Jab papa ghar k baramde mein heater lake Bhutte k saath caramboard khelte the.

Par aaj waisa kch nahi tha. Aaj main akela baramde mein chai k mug mein rum daal k pee rha tha. Woh baramda to tha par aaj papa saath mein caramboard nahi khel rahe the. Aaj ice cram khane k paise to the par khane ka mann nahi tha.

Aaj dil tuta tha to bas kisi aur k wajah se. Aaj maa k gale lagane se bhi woh dard nahi jaa skta tha. Aaj guitar to tha haath mein par jisse sunana chahta tha woh nahi thi.

Zindagi ek anjane mod pe aake ruk si gayi thi. Aaj so called successful to kuch hadd tak tha par koi tha nahi batane ko. Shayad main simate liya tha khud ko kahin.

woh bachpan k din hi ache the. 25 paise mein bhi hum apne mohalle k hero hua karte the. Woh chaat pe cahad k ball utarne ka mazza hi kuch aur tha. Aaj kal log to bas yoga karne jate hain.

barish k bunde dhire-dhir tez hone lagi. jaise aaj kal k zindagi k raftar hai. Har koi ek acha option talashta ha. Chahe woh khane k baat ho ya phir pyar ki.

Aankhen num hone lagi thi meri. Shayad bahut kuch mere andar hi tha, iss barish aur ghar k yaad ne usse bahar aane pe mazbur kar rha tha. maine ek zatke mein apni rum khatam ki aur dusri banane chala gaya.

Barish kuch aur tez ho gayi. main palat k khidki band krne aaya. Haath badathe hi kch dikha mujhe.

Ek kagaz k kashti, barish k pani mein ghote kha rha tha. Kuch hi pal mein ek judaw sa ho gaya uss kashti se. Jaise k main hi hu woh kashti. Dubne k kagar mein.

Woh kagaz k kashti dubne lagi. Maine bhi umeed chor di k woh phir se tairega. Aankhen jhuka k mai khidki ko band karne laga. par tabhi koi awaz aayi. Ek bacha dudte hue aaya uss barish mein aur uss kashti ko uss bahvar se nikal phir se tairne k achi si jagah pe rakh diya.

Pata nahi par ek muskan se aa gaya mere chehre pe. maine khidki band k aur kitchen k self ko khol bournvita ko woh packet nikal liya jo maa ne aatee waqt diya tha.

Bas itni se kahani thi meri...